aik roz Ashfaq Ahmad nay kaha "Qudsiya...Anwar Baba ki aik baat merray dil mian khub gai hai ....fermatay hain , koi cheez khereedo tu pehlay usay apnay lye halal ker lo....phir istimaal kero..main ne poucha" kaisay?"
bolay....4 qameezein khereedoo tu saath kam az kam aik qameez Allah k naam per deynay k ley khareedoo....maheenay ka smaan khareedo tu 20 Kilo aata Allah k naam per deynay k ley zaroor khareedoo..School mai apnay bachay ki fees Ada kero tu saath main kisi zarooratmand bachay ki bhi fees ada kerdo..iss terha wo kherch jo tum apni zaat per kerogay halal hu jaiy ga"
aglay roz Ashfaq dafter se lota tu aik ajnabi larka ghr main baitha hao tha ..Qudsiya se poucha" yea koun hai"
Qudsiya ne kaha" humaray 3 larkay madersya main perhtay hain unn k ikhrajaat hala kernay k lye main ne aik hajatmand bacha gher mian rakh lia hai..hum isay taleem dilwaiengay iss ki perwerish kereingya...."
aaj bhi Ashfaq k gher aik nahi 3..3 larkay perwerish paa rahay hain aur baaqaida school main taleem haasil ker rahay hain
az.."ANHOKAY LOAG"...Mumtaaz Mufti Edited by: Saba |