![]() |
| |||||||
| Notices |
| |
Geo News Watch Live Sms Messages Collection! ChatDD Blog Tech & Entertainment
|
![]() |
| | Thread Tools | Display Modes |
|
#1
| ||||
| ||||
| Un jheel si gehri aankhon mein ik shaam kahin aabaad to ho... Us jheel kinaray pal do pal... Ik khuwab ka neela phool khilay...! Wo phoool baha dein lehroon mein... Ik roz kabhi hum shaam dhalay... Us phool k behtay rungon mein... Jis waqat larzta chaand chalay...! Us waqat kahin in aankhon mein is basray pal ki yaad to ho...! Un jheel si gehri aankhon mein ik shaam kahin aabaad to ho...! Phir chahay umar sumandar ki... Har mouj preshaan ho jaye...! Phir chahay aankh dareechay se... Har khuwab guraizan ho jaye...! Phir chahay phool k chehray ka Har dard numayaan ho jaye...! Us jheel kinaray pal do pal wo roup nagar ijaad to ho...! Din raat k is aaiinay say wo aks kabhi aazaad tu ho...! Un jheel say gehri aankhon main eik shaam kahin aabad to ho...!
__________________ ![]() Quote:
|
| Sponsored Links |
| |
|
#2
| ||||
| ||||
| Us waqat kahin in aankhon mein is basray pal ki yaad to ho...! Un jheel si gehri aankhon mein ik shaam kahin aabaad to ho...! bhuat khub
__________________ ![]() |
![]() |
| Bookmarks |
| Currently Active Users Viewing This Thread: 1 (0 members and 1 guests) | |
| Thread Tools | |
| Display Modes | |
| |