![]() |
| |||||||
| Notices |
| |
Geo News Watch Live Sms Messages Collection! ChatDD Blog Tech & Entertainment
|
![]() |
| | Thread Tools | Display Modes |
|
#1
| |||
| |||
| Ik baar phir kaho zara keh meri saari kainaat teri ik nighaah par nisaar hai meri siyaah zindagi ka noor tum jannat e arzi rashq e hoor tum lazzat e jaan , raahat e qalb e hazeen ishrat e nazaara, mehvash, mehjabeen ik baar phir kaho zara keh tu bahut haseen hai nighaah mein shabab ka khumaar hai ik baar phir kaho zara sharam ke parde mein pinhaan shokhiyan muskuraahat mein nihaan hon bijliyan har ada teri mujhe marghoob hai dehar ki har cheez se mehboob hai ik baar phir kaho zara keh paikar e faani hai kya keh dil toh teri rooh par nisaar hai ik baar phir kaho zara jism faani, husn bhi faani mera jazbe dil lekin hai lafaani mera mard harjai hai har gul par nisaar dil magar deti hai aurat ek baar ik baar phir kaho zara keh mujh ko gair ka khyaal tauba tauba bas nagawaar hai ik baar phir kaho zara main wohi hoon, main badal sakti nahin doosre saanche mein dhal sakti nahin ab tere tevar, tere kaul aur hain main kahan ab qaabil e gaur aur hain ik baar phir kaho zara keh mera ishq mehar aur maah se ziyaada paidaar hai ik baar phir kaho zara mere sar ki jhoothi kasamein kya hui-n zaahiri ulfat ki rasamein kya hui-n giriya e paiham woh uljhan kya hui aanch ki taizi woh dhadkam kya hui ik baar phir kaho zara keh mera ehd ustuvar rooh se ziyaada ustuvaar hai ik baar phir kaho zara baandh kar ehd e wafa toda toh kya sheesha e dil tod kar joda toh kya sab samajhti hoon magar maazoor hoon dil ki iss fariyaad se majboor hoon ik baar phir kaho zara keh meri saari kainaat teri ik nighaah par nisaar hai |
| Sponsored Links |
| |
|
#2
| ||||
| ||||
| nice....
__________________ ![]() Woh Khush-jamaal Jab bhi Tasawwur mein Aa gaya Aanchal ko Sar pe rakh diya, Hum ne Haiya ke saath |
|
#3
| |||
| |||
| adaab arz hai |
|
#4
| ||||
| ||||
| ik baar phir kaho zara baandh kar ehd e wafa toda toh kya sheesha e dil tod kar joda toh kya sab samajhti hoon magar maazoor hoon dil ki iss fariyaad se majboor hoon Bahut khoob...i liked that ![]()
__________________ ![]() ![]() |
|
#5
| |||
| |||
adaab arz hai |
![]() |
| Bookmarks |
| Currently Active Users Viewing This Thread: 1 (0 members and 1 guests) | |
| Thread Tools | |
| Display Modes | |
| |