I hope u all like this song.. it's ONE of my old fav times. Is gaane meiN bahut gehri sachaaey hai..dil ko choo jaati hai.
Hope U Enjoy It..I LOVE it
kabhee sochataa hoo ke main kuchh kahoo
kabhee sochataa hoo ke main choop rahoo
aadamee jo kahataa hai, aadamee jo sunataa hai
Zindagee bhar wo sadaayen peechhaa karatee haiN
aadamee jo detaa hai, aadamee jo letaa hai
Zindagee bhar wo duaaeiN peechhaa karatee haiN
koee bhee ho har khwaab to sachchaa naheen hotaa
bahot zeyaadaa pyaar bhee achchhaa naheen hotaa
kabhee daaman chooraana ho to mushkil ho
pyaar ke rishteiN toote to, pyaar ke raste chhoote to
raaste mein pir wafaaeiN peechhaa karatee haiN
kabhee kabhee man dhoop ke kaaran tarasataa hai
kabhee kabhee pir jhoom ke saawan barasataa hai
falak jhapake yahaaN mausam badal jaaeiN
pyaas kabhee mitatee nahee, ek boond bhee milatee nahee
aaur kabhee rhim jhim ghataayen peechhaa karatee haiN