Kabhi Kabhi
badi ajeeb lagti hey apni daastan kabhi kabhi
dil apna bhi ho jata hey preshaan kabhi kabhi
ho tu jaate hein hamari khushi mein woh shamil
zehr lagti he unko hamari muskaan kabhi kabhi
socha tha nah rakhein ge ab koi taalluq unse magar
chala hi jata hey unki tarf dhyian kabhi kabhi
tod kar dil sadgi se muskara diya karte hein hamesha
hote hein apne kiye pe woh paisheman kabhi kabhi
Maslehton ke ghulam bann ke reh gay hein hum zafar
todna pad jata hey kiya hoa apna ehdo peimaan kabhi kabhi
Last edited by zafar; 10-14-2007 at 06:13 PM..
|